Ha, mujhse bahut der ho gayi Teri baaton ko samajhne mein, Un ahsason ko samajhne mein, Jo kuch unkahe se the, jo kuch unsune se the. Yad hai jab tune pucha tha, "Kya tum mujhse pyaar karte ho?" Na jaane kyun ek darr sa tha, tujhe izhaar karne mein. Chahta tha tujhe, wo dil ki har baat bataoon, Jitne the armaan, sab tujhe sunaoon. Na jaane kyun dar tha, tujhe apna banane mein, Tera hamesha ke liye ho jaane mein. Nadaan tha, jo na samjha, sukoon toh hai pyaar karne mein. Phir aaj dekha tujhe dulhan ke jode mein, Mere nahi, kisi aur ke liye tayaar hone mein. Maano jaise waqt tham sa gaya, Kuch toh dard badh sa gaya. Par chalo ab tum mere nahi, shayad kisi aur ke hi sahi, Puri na, adhuri si humari mohabbat hi sahi. Kehte hain Khuda tumhe woh humsafar deta hai Jiski tumhe zarurat hai.na ki woh, jisse tumhe mohabbat hai. Agar hai yeh baat, toh bulao usse, jisne yeh baat kahi, Puchunga usse, "kya Mujhe mohabbat ki zarurat nahi?" Aata hoon kuch der mein tere paas, tayaar ...